काश | Kaash

-

सीखने को बहुत कुछ है | Seekhne ko bahut kuch hai
काश कोई सिखाने वाला भी होता | Kaash koi sikhaane wala bhi hota
समझ भी हैं थोड़ी सी | Samajh bhi hai thodi si
कोई समझने वाला तो होता | Koi samajhne waala to hota

नज़ारे नए नए दिखते है | Nazaare naye naye dikhte hai
काश नया नज़रिया भी होता | Kaash naya nazariyan bhi hota
सब देख रहे थे सब को | Sab dekh rahe the sab ko
कोई यह देखने वाला तो होता | Koi yeh dekhne waala to hota

                  -----------

मिलती है महफ़िल मज़ारों में | Milti hai mehfil mazaaron mein
काश कोई मिलने वाला भी होता | Kaash koi milne waala bhi hota
मग़रूर है सभी मैखानों में | Maghroor hai sabhi maikhaanon mein
कोई मुख़्तलिक़ मुझ से तो होता | Koi mukhtaliq mujh se to hota

चेहरे हसीन बनते बिगड़ते रहे | Chehre haseen bante bigadte rahe
काश बशर कोई बेनक़ाब भी होता | Kaash bashar koi benaqaab bhi hota
मुस्कुराते रहे जिसे सोच कर | Muskurate rahe jise soch kar
कोई मासूम ख्याल तो होता | Koi masoom khayaal to hota

बातें करते हैं बहुत बेहतरीन | Baatein karte hai bahut behtareen
काश बयां भी कुछ किया होता | Kaash bayaa bhi kuch kiya hota
शोर सा गूँज रहा है हर तरफ | Shor sa goonj raha hai har taraf
कोई सच शहर में तो होता | Koi sach shehar mein to hota

                  -----------

आरज़ूएं पूरी करते रहे | Aarzooyein poori karte rahe
काश आँसू बहाने वाला भी होता | Kaash aansu bahane waala bhi hota
मंज़िलें मिल गयी सारी | Manzilein mil gayi saari
कोई एक ख्वाब मुक्कमल तो होता | Koi ek khwaab mukkamal to hota

वजह पूछते रहे उस से | Wajah poochte rahe uss se
काश उस का कोई वजूद भी होता | Kaash us ka koi wajood bhi hota
आईने में चुप्पा था राज़ | Aaine mein chuppa tha raaz
कभी उस से दीदार तो होता | Kabhi us se deedar to hota

Share this article

Recent posts

Popular categories

Recent comments

Anonymous on The Agneepath Series
Anonymous on May Be I Am Addicted!